kabhi tufan ke Dar se qadam moDe nahin jate
kabhī tūfān ke Dar se qadam moḌe nahīñ jaate
kisī sūrat usūl-e-zindagī toḌe nahīñ jaate
kisī se aas kyā rakhnā mudāvā kyoñ kare koī
jo ham ḳhud aap aTkāte haiñ vo roḌe nahīñ jaate
koī chāqū koī ḳhanjar yā phir talvār le kar aa
ki ham se ḳhuun ke rishte yūñhī toḌe nahīñ jaate
are nādāñ zarā tham jā ghaḌī bhar soch le ruk ke
kisī bad-zauq ke pīchhe kabhī dauḌe nahīñ jaate
hamāre zabt kī kashtī bahut hī Dagmagātī hai
magar ummīd ke dāman yūñhī chhoḌe nahīñ jaate
qadam āhista rakhiyegā are ye shīsha-e-dil haiñ
agar ye TuuT jaate haiñ to phir joḌe nahīñ jaate
kabhi tufan ke Dar se qadam moDe nahin jate
kisi surat usul-e-zindagi toDe nahin jate
kisi se aas kya rakhna mudawa kyon kare koi
jo hum KHud aap aTkate hain wo roDe nahin jate
koi chaqu koi KHanjar ya phir talwar le kar aa
ki hum se KHun ke rishte yunhi toDe nahin jate
are nadan zara tham ja ghaDi bhar soch le ruk ke
kisi bad-zauq ke pichhe kabhi dauDe nahin jate
hamare zabt ki kashti bahut hi Dagmagati hai
magar ummid ke daman yunhi chhoDe nahin jate
qadam aahista rakhiyega are ye shisha-e-dil hain
agar ye TuT jate hain to phir joDe nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.