Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi zillat kabhi ruswai nahin dekhi hai

Zarrin Munavvar

kabhi zillat kabhi ruswai nahin dekhi hai

Zarrin Munavvar

MORE BYZarrin Munavvar

    kabhī zillat kabhī rusvā.ī nahīñ dekhī hai

    ishq vāloñ ne to paspā.ī nahīñ dekhī hai

    husn-e-yūsuf ke mujhe qisse sunāne vaale

    ne chāhat ye zuleḳhā.ī nahīñ dekhī hai

    us ne chehre pe qasīde to bahut likkhe haiñ

    lekin is dil pe jamī kaa.ī nahīñ dekhī hai

    mil ke bāñTā thā asāsa jo kabhī bhā.iyoñ ne

    saath khelī thī jo māñ-jā.ī nahīñ dekhī hai

    apnī aulād ko fāqoñ se bachāne ke liye

    DaañT sahtī huī ik baa.ī nahīñ dekhī hai

    tum ne chāhat ko javāñ rakkhā hai in āñkhoñ meñ

    mujh meñ dam toḌtī tanhā.ī nahīñ dekhī hai

    apnī ḳhush-fahmī pe ḳhush huuñ ki abhī tak maiñ ne

    ġhair se us shanāsā.ī nahīñ dekhī hai

    pyaar daulat hai magar maiñ ne to is daulat

    halfiya kahtī huuñ ik paa.ī nahīñ dekhī hai

    kabhi zillat kabhi ruswai nahin dekhi hai

    ishq walon ne to paspai nahin dekhi hai

    husn-e-yusuf ke mujhe qisse sunane wale

    tu ne chahat ye zuleKHai nahin dekhi hai

    us ne chehre pe qaside to bahut likkhe hain

    lekin is dil pe jami kai nahin dekhi hai

    mil ke banTa tha asasa jo kabhi bhaiyon ne

    sath kheli thi jo man-jai nahin dekhi hai

    apni aulad ko faqon se bachane ke liye

    DanT sahti hui ek bai nahin dekhi hai

    tum ne chahat ko jawan rakkha hai in aankhon mein

    mujh mein dam toDti tanhai nahin dekhi hai

    apni KHush-fahmi pe KHush hun ki abhi tak main ne

    ghair se us ki shanasai nahin dekhi hai

    pyar daulat hai magar main ne to is daulat ki

    halfiya kahti hun ek pai nahin dekhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now