kabhi zuhur mein aa ja kamal hone de
kabhī zuhūr meñ aa jā kamāl hone de
junūñ ko bāñdh na mere dhamāl hone de
jo ḳhud-kushī bhī karūñgā nahīñ marūñgā maiñ
kuchh is tarah se tū apnā visāl hone de
kahīñ to rakh le mujhe bhī mirī mohabbat bhī
ki apne dil meñ basā le nihāl hone de
maiñ ḳhud se laḌne kī rut meñ tumhārā sāthī huuñ
mujhe vajūd meñ ugne de Dhaal hone de
ḳhudā-e-vasl Thahar jā abhī taḌapne de
machal machal ke zuleḳhā sā haal hone de
sila zarūr hai 'sā.im-jī' hijr rātoñ kā
kisī kī yaad meñ āñkheñ to laal hone de
kabhi zuhur mein aa ja kamal hone de
junun ko bandh na mere dhamal hone de
jo KHud-kushi bhi karunga nahin marunga main
kuchh is tarah se tu apna visal hone de
kahin to rakh le mujhe bhi meri mohabbat bhi
ki apne dil mein basa le nihaal hone de
main KHud se laDne ki rut mein tumhaara sathi hun
mujhe wajud mein ugne de Dhaal hone de
KHuda-e-wasl Thahar ja abhi taDapne de
machal machal ke zuleKHa sa haal hone de
sila zarur hai 'saim-ji' hijr raaton ka
kisi ki yaad mein aankhen to lal hone de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.