kaDakti dhup mein saya
kaḌaktī dhuup meñ saaya
añdheroñ meñ ujālā hai
koī saanī nahīñ us kā
mujhe jis maañ ne paalā hai
mahz ik siip thī maiñ to
guhar us ne nikālā hai
hamesha mushkiloñ meñ to
isī dil ko sambhālā hai
mujhe jo mo'atabar kar de
mirī maañ kā havāla hai
mujhe 'mumtāz' karne ko
duāoñ kā vo haalā hai
kaDakti dhup mein saya
andheron mein ujala hai
koi sani nahin us ka
mujhe jis man ne pala hai
mahz ek sip thi main to
guhar us ne nikala hai
hamesha mushkilon mein to
isi dil ko sambhaala hai
mujhe jo mo'atabar kar de
meri man ka hawala hai
mujhe 'mumtaz' karne ko
duaon ka wo haala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.