kaDhaw rakh ke taKHayyul pe aasman tale
kaḌhāv rakh ke taḳhayyul pe āsmān tale
yaqīñ ke tel meñ logoñ ne sab gumān tale
aqīdatoñ kā ajab falsafa hai kyā kiyā jaa.e
ki is meñ uñgliyāñ dab jaatī haiñ kamān tale
zabān aag sahī dil hamārā jal-thal hai
tapish pahuñchtī nahīñ lau kī sham.a-dān tale
fasād bālā-nashīnoñ kī shah pe hotā haiñ
vagarna rahte nahīñ daañt kyā zabān tale
shu.ūr masnad-e-auhām par hai jalva-fagan
kabhī biThāo haqīqat ke sā.ebān tale
kaDhaw rakh ke taKHayyul pe aasman tale
yaqin ke tel mein logon ne sab guman tale
aqidaton ka ajab falsafa hai kya kiya jae
ki is mein ungliyan dab jati hain kaman tale
zaban aag sahi dil hamara jal-thal hai
tapish pahunchti nahin lau ki shama-dan tale
fasad baala-nashinon ki shah pe hota hain
wagarna rahte nahin dant kya zaban tale
shuur masnad-e-auham par hai jalwa-fagan
kabhi biThao haqiqat ke saeban tale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.