kaDi thi dhup to saya uDa gaya wo shaKHs
kaḌī thī dhuup to saaya uḌā gayā vo shaḳhs
siyah thī raat to mash.al jalā gayā vo shaḳhs
masīhā ban ke jo marham ba-dast aayā thā
kuchh aur dard ko mere baḌhā gayā vo shaḳhs
guzar ke jaañ se mohabbat ke rāste meñ aaj
alam-kashoñ ko rah-e-nau dikhā gayā vo shaḳhs
sunā ke dard bharī dāstāñ mazālim kī
sabhoñ ko ḳhuun ke aañsū rulā gayā vo shaḳhs
vo jis ke vāste phūloñ kī sej rakhte the
hamārī raah meñ kāñTe bichhā gayā vo shaḳhs
maiñ jis ke vāste sheroñ ke jaal buntā thā
mirī ġhazal sar-e-mahfil sunā gayā vo shaḳhs
kaDi thi dhup to saya uDa gaya wo shaKHs
siyah thi raat to mashal jala gaya wo shaKHs
masiha ban ke jo marham ba-dast aaya tha
kuchh aur dard ko mere baDha gaya wo shaKHs
guzar ke jaan se mohabbat ke raste mein aaj
alam-kashon ko rah-e-nau dikha gaya wo shaKHs
suna ke dard bhari dastan mazalim ki
sabhon ko KHun ke aansu rula gaya wo shaKHs
wo jis ke waste phulon ki sej rakhte the
hamari rah mein kanTe bichha gaya wo shaKHs
main jis ke waste sheron ke jal bunta tha
meri ghazal sar-e-mahfil suna gaya wo shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.