kafan jab si rahe the log mera
kafan jab sī rahe the log merā
mujhe lagtā thā lahñgā ban rahā hai
hamāre saañs hoñge dukh kā sālan
hamārā dil jo chūlhā ban rahā hai
tirī maujūdgī hai be-ma.ānī
tirā honā na honā ban rahā hai
mirī har raat nīñdoñ se ḳhafā hai
mirā har ḳhvāb katba ban rahā hai
vo apnī qadr ab khone lagā hai
vo ab tole se māsha ban rahā hai
falak juuḌe tale rakkhā huā hai
sitāroñ se prānda ban rahā hai
hamāre shahr kā ahvāl mat pūchh
hamārā shahr kuufa ban rahā hai
kafan jab si rahe the log mera
mujhe lagta tha lahnga ban raha hai
hamare sans honge dukh ka salan
hamara dil jo chulha ban raha hai
teri maujudgi hai be-maani
tera hona na hona ban raha hai
meri har raat nindon se KHafa hai
mera har KHwab katba ban raha hai
wo apni qadr ab khone laga hai
wo ab tole se masha ban raha hai
falak juDe tale rakkha hua hai
sitaron se pranda ban raha hai
hamare shahr ka ahwal mat puchh
hamara shahr kufa ban raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.