kah bhi dun haal-e-dil agar shayad
kah bhī duuñ hāl-e-dil agar shāyad
un pe ho jaa.e kuchh asar shāyad
ab zamāna hai bevafā.ī kā
siikh leñ ham bhī ye hunar shāyad
ba.ad muddat ke ye ḳhayāl aayā
raas aayā nahīñ safar shāyad
ham hī ab tak samajh nahīñ paa.e
kuchh to kahtī hai vo nazar shāyad
vaise to fāsla nahīñ koī
kashmakash hai agar magar shāyad
har nazāre meñ us kā hī jalva
tum ko aatā nahīñ nazar shāyad
ajnabī ajnabī se chehre haiñ
ye nahīñ hai mirā nagar shāyad
niiñd taarī hai āsmānoñ par
yā duā meñ nahīñ asar shāyad
ab koī aarzū nahīñ baaqī
ḳhatm hotā hai ye safar shāyad
mauj-dar-mauj ek nashsha thā
ab vo dariyā gayā utar shāyad
zindagī ab tujhe sañvāre kyā
koshisheñ saarī be-asar shāyad
ik jahāñ ajnabī rahā 'mītā'
ik jahāñ mujh se bā-ḳhabar shāyad
kah bhi dun haal-e-dil agar shayad
un pe ho jae kuchh asar shayad
ab zamana hai bewafai ka
sikh len hum bhi ye hunar shayad
baad muddat ke ye KHayal aaya
ras aaya nahin safar shayad
hum hi ab tak samajh nahin pae
kuchh to kahti hai wo nazar shayad
waise to fasla nahin koi
kashmakash hai agar magar shayad
har nazare mein us ka hi jalwa
tum ko aata nahin nazar shayad
ajnabi ajnabi se chehre hain
ye nahin hai mera nagar shayad
nind tari hai aasmanon par
ya dua mein nahin asar shayad
ab koi aarzu nahin baqi
KHatm hota hai ye safar shayad
mauj-dar-mauj ek nashsha tha
ab wo dariya gaya utar shayad
zindagi ab tujhe sanware kya
koshishen sari be-asar shayad
ek jahan ajnabi raha 'mita'
ek jahan mujh se ba-KHabar shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.