kah chuke hain sab bacha kuchh bhi nahin
kah chuke hain sab bacha kuchh bhi nahin
Kaleem Qaisar Balrampuri
MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri
kah chuke haiñ sab bachā kuchh bhī nahīñ
mere sheroñ meñ nayā kuchh bhī
chal rahe haiñ hasratoñ ke naam par
hai kahāñ jaanā patā kuchh bhī nahīñ
dil ye kahtā hai ki maiñ ne sun liyā
us ne hālāñki kahā kuchh bhī nahīñ
ab to qīmat zor-o-zar kī hai yahāñ
pyaar īsār-o-vafā kuchh bhī nahīñ
sar jhukātā phir rahā hai dar-ba-dar
vo jo kahtā thā ḳhudā kuchh bhī nahīñ
kah chuke hain sab bacha kuchh bhi nahin
mere sheron mein naya kuchh bhi
chal rahe hain hasraton ke nam par
hai kahan jaana pata kuchh bhi nahin
dil ye kahta hai ki main ne sun liya
us ne haalanki kaha kuchh bhi nahin
ab to qimat zor-o-zar ki hai yahan
pyar isar-o-wafa kuchh bhi nahin
sar jhukata phir raha hai dar-ba-dar
wo jo kahta tha KHuda kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.