kah diya yun hi bewafa mujhko
kah diyā yuuñ hī bevafā mujh ko
baat āḳhir hai kyā batā mujh ko
raunaqeñ gum haiñ mere chehre kī
roz kahtā hai aa.ina mujh ko
TuuT kar shāḳh se bikharnā hai
garm lagtī hai ab havā mujh ko
chaar din meñ hī thak ga.e the qadam
phir milā ġham kā aasrā mujh ko
dil jo haarā to phir bachegā kyā
zindagī ab na aazmā mujh ko
Dhañg kā kuchh na vo banā paayā
umr bhar chaak par rakhā mujh ko
haath meñ qaid hai 'suman' qismat
rūThne tak gumāñ rahā mujh ko
kah diya yun hi bewafa mujh ko
baat aaKHir hai kya bata mujh ko
raunaqen gum hain mere chehre ki
roz kahta hai aaina mujh ko
TuT kar shaKH se bikharna hai
garm lagti hai ab hawa mujh ko
chaar din mein hi thak gae the qadam
phir mila gham ka aasra mujh ko
dil jo haara to phir bachega kya
zindagi ab na aazma mujh ko
Dhang ka kuchh na wo bana paya
umr bhar chaak par rakha mujh ko
hath mein qaid hai 'suman' qismat
ruThne tak guman raha mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.