kah gaya hun jo main rawani mein
kah gayā huuñ jo maiñ ravānī meñ
vo to shāmil na thā kahānī meñ
koī laġhzish gunāh tauba kar
nek bachcha thā maiñ javānī meñ
rang kaalā bhī us pe jachtā hai
par jo lagtī hai āsmānī meñ
paañv dariyā meñ Daal kar bolī
aise lagtī hai aag paanī meñ
maiñ agar ḳhud ko maar Dālūñ to
kyā bachegā tirī kahānī meñ
kah gaya hun jo main rawani mein
wo to shamil na tha kahani mein
koi laghzish gunah tauba kar
nek bachcha tha main jawani mein
rang kala bhi us pe jachta hai
par jo lagti hai aasmani mein
panw dariya mein Dal kar boli
aise lagti hai aag pani mein
main agar KHud ko mar Dalun to
kya bachega teri kahani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.