kaha hai kis ne jahan mein KHuda nahin milta
kahā hai kis ne jahāñ meñ ḳhudā nahīñ miltā
ḳhulūs shart hai DhūñDo to kyā nahīñ miltā
har ek jism kī taḳhlīq ek jaisī hai
har ek chehre se kyoñ dūsrā nahīñ miltā
kuchh aise moḌ bhī aa.e vafā kī rāhoñ meñ
jahāñ se aage ḳhud apnā patā nahīñ miltā
har ik jafā hai tumhārī har ik jafā se alag
tumhāre jaisā koī bā-vafā nahīñ miltā
maiñ phir rahā huuñ jabīñ meñ sameT kar sajde
magar kahīñ bhī tirā naqsh-e-pā nahīñ miltā
vahī hai gaañv vahī maiñ vahī hai pagDanDī
bas ik kamī hai tirā naqsh-e-pā nahīñ miltā
vafā kā shauq mubārak vafā karo lekin
rahe ḳhayāl vafā kā sila nahīñ miltā
tumhārā aks hai mahfūz jis meñ sadiyoñ se
na jaane kyoñ vahī ik aa.ina nahīñ miltā
ham aa ke gaañv se pachhtā.e shahr meñ 'rāhī'
yahāñ kisī kā bhī aslī pata nahīñ miltā
kaha hai kis ne jahan mein KHuda nahin milta
KHulus shart hai DhunDo to kya nahin milta
har ek jism ki taKHliq ek jaisi hai
har ek chehre se kyon dusra nahin milta
kuchh aise moD bhi aae wafa ki rahon mein
jahan se aage KHud apna pata nahin milta
har ek jafa hai tumhaari har ek jafa se alag
tumhaare jaisa koi ba-wafa nahin milta
main phir raha hun jabin mein sameT kar sajde
magar kahin bhi tera naqsh-e-pa nahin milta
wahi hai ganw wahi main wahi hai pagDanDi
bas ek kami hai tera naqsh-e-pa nahin milta
wafa ka shauq mubarak wafa karo lekin
rahe KHayal wafa ka sila nahin milta
tumhaara aks hai mahfuz jis mein sadiyon se
na jaane kyon wahi ek aaina nahin milta
hum aa ke ganw se pachhtae shahr mein 'rahi'
yahan kisi ka bhi asli pata nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.