kaha kis ne ki marna qaid se gham ki nikalna hai
kahā kis ne ki marnā qaid se ġham kī nikalnā hai
ajal to ik hayāt-e-ishq kā pahlū badalnā hai
faqat sayyād hī kā Dar nahīñ ahl-e-nasheman ko
abhī barq-e-balā kī zad se bhī bach kar nikalnā hai
lab-e-sāhil pahuñchne kī ḳhushī kaisī abhī ai dil
talātum-ḳhez tūfānoñ se Takrā kar nikalnā hai
abhī in ibtidā.ī mushkiloñ par ranj-o-ġham kaisā
hameñ to varta-e-bahr-e-havādis hī meñ palnā hai
balā se haq-bayānī par sazā miltī hai bhugteñge
hameñ bhī sarmad-o-mansūr hī kī raah chalnā hai
bhalā tum maslahat is zabt-e-soz-e-ġham kī kyā jaano
jo phūñkeñ zulm ke ḳhirman ko vo sho.ale ugalnā hai
ye rasm-e-mai-kada hai gaah mastī gaah hushyārī
sañbhal kar gir chuke ab gir ke phir ham ko sañbhalnā hai
vo hoñge aur jo phūloñ kī sejoñ par haiñ ḳhvābīda
hameñ ai dūrī-e-manzil abhī kāñToñ pe chalnā hai
kaha kis ne ki marna qaid se gham ki nikalna hai
ajal to ek hayat-e-ishq ka pahlu badalna hai
faqat sayyaad hi ka Dar nahin ahl-e-nasheman ko
abhi barq-e-bala ki zad se bhi bach kar nikalna hai
lab-e-sahil pahunchne ki KHushi kaisi abhi ai dil
talatum-KHez tufanon se Takra kar nikalna hai
abhi in ibtidai mushkilon par ranj-o-gham kaisa
hamein to warta-e-bahr-e-hawadis hi mein palna hai
bala se haq-bayani par saza milti hai bhugtenge
hamein bhi sarmad-o-mansur hi ki rah chalna hai
bhala tum maslahat is zabt-e-soz-e-gham ki kya jaano
jo phunken zulm ke KHirman ko wo shoale ugalna hai
ye rasm-e-mai-kada hai gah masti gah hushyari
sanbhal kar gir chuke ab gir ke phir hum ko sanbhalna hai
wo honge aur jo phulon ki sejon par hain KHwabida
hamein ai duri-e-manzil abhi kanTon pe chalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.