kaha mano mohabbat mein zarar hai
kahā maano mohabbat meñ zarar hai
tabī.at ko sambhālo dil kidhar hai
ḳhudā jaane kahā ġhairoñ se kyā aaj
na vo dil hai na vo un kī nazar hai
ajab manzil pe mujh ko ishq laayā
na rastā hai na koī rāhbar hai
vo kaahe ko yahāñ ā.eñge ai dil
yūñhī kahte haiñ sab jhūTī ḳhabar hai
na aao is taraf ai hazrat-e-ishq
chale jaao ġharīboñ kā ye ghar hai
kaha mano mohabbat mein zarar hai
tabiat ko sambhaalo dil kidhar hai
KHuda jaane kaha ghairon se kya aaj
na wo dil hai na wo un ki nazar hai
ajab manzil pe mujh ko ishq laya
na rasta hai na koi rahbar hai
wo kahe ko yahan aaenge ai dil
yunhi kahte hain sab jhuTi KHabar hai
na aao is taraf ai hazrat-e-ishq
chale jao gharibon ka ye ghar hai
- Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.