kaha tha tumne hi mujhko aisa ki aisi shohrat bigaD degi
kahā thā tum ne hī mujh ko aisā ki aisī shohrat bigāḌ degī
ab aa ke dekho to phir kahoge ki itnī vahshat bigāḌ degī
bahut yaqīñ se kahā hai us ne agar kabhī ham alag hue to
tumheñ hamārī hameñ tumhārī yahī zarūrat bigāḌ degī
hamārī qismat meñ aur kyā hai udaas nazmeñ adhūrī ġhazleñ
hamārī sohbat se duur rahiye hamārī sohbat bigāḌ degī
isī tarah gar tumhāre naḳhre rahā uThātā maiñ sar pe apne
to hai ye mumkin ki jaan tum ko mirī mohabbat bigāḌ degī
mujhe huī hai ye baat ma.alūm baad milne ke is se yāroñ
bigāḌ degī bigāḌ degī vo laḌkī aadat bigāḌ degī
kaha tha tum ne hi mujh ko aisa ki aisi shohrat bigaD degi
ab aa ke dekho to phir kahoge ki itni wahshat bigaD degi
bahut yaqin se kaha hai us ne agar kabhi hum alag hue to
tumhein hamari hamein tumhaari yahi zarurat bigaD degi
hamari qismat mein aur kya hai udas nazmen adhuri ghazlen
hamari sohbat se dur rahiye hamari sohbat bigaD degi
isi tarah gar tumhaare naKHre raha uThata main sar pe apne
to hai ye mumkin ki jaan tum ko meri mohabbat bigaD degi
mujhe hui hai ye baat malum baad milne ke is se yaron
bigaD degi bigaD degi wo laDki aadat bigaD degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.