kaha ye kis ne ki wade ka etibar na tha
kahā ye kis ne ki vā'de kā e'tibār na thā
vo aur baat thī jis se mujhe qarār na thā
shab-e-visāl vo kis naaz se ye kahte haiñ
hamāre hijr meñ sach-much tujhe qarār na thā
baghārtā hai jo ab shaiḳh zohd kī bāteñ
to kyā ye ahd-e-javānī meñ bāda-ḳhvār na thā
faqat thī ek ḳhamoshī mire suḳhan kā javāb
nahīñ nahīñ tujhe kahnā hazār baar na thā
ye mujh ko dekhte hī tū ne kyuuñ churā.ī aañkh
nigāh-e-lutf kā kyā maiñ umīd-vār na thā
vahī thiiñ 'aish kī rāteñ vahī the lutf ke din
kisī kī yaad kisī kā jab intizār na thā
hazār shukr ki niklā vo sādiqul-iqarār
tumheñ 'hafīz' kī bātoñ kā e'tibār na thā
kaha ye kis ne ki wa'de ka e'tibar na tha
wo aur baat thi jis se mujhe qarar na tha
shab-e-visal wo kis naz se ye kahte hain
hamare hijr mein sach-much tujhe qarar na tha
baghaarta hai jo ab shaiKH zohd ki baaten
to kya ye ahd-e-jawani mein baada-KHwar na tha
faqat thi ek KHamoshi mere suKHan ka jawab
nahin nahin tujhe kahna hazar bar na tha
ye mujh ko dekhte hi tu ne kyun churai aankh
nigah-e-lutf ka kya main umid-war na tha
wahi thin 'aish ki raaten wahi the lutf ke din
kisi ki yaad kisi ka jab intizar na tha
hazar shukr ki nikla wo sadiqul-iqarar
tumhein 'hafiz' ki baaton ka e'tibar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.