kahan aur kab kab akela raha hun
kahāñ aur kab kab akelā rahā huuñ
maiñ har roz har shab akelā rahā huuñ
mujhe apne baare meñ kyā mashvara ho
maiñ apne liye kab akelā rahā huuñ
udāsī kā aalam yahāñ tak rahā hai
maiñ hote hue sab akelā rahā huuñ
yahāñ se vahāñ tak idhar se udhar tak
maiñ pashchim se pūrab akelā rahā huuñ
bahut hausla mujh ko maiñ ne diyā hai
maiñ rote hue jab akelā rahā huuñ
tirī zaat mujh se judā hī rahī hai
maiñ tab ho ki yā ab akelā rahā huuñ
kahan aur kab kab akela raha hun
main har roz har shab akela raha hun
mujhe apne bare mein kya mashwara ho
main apne liye kab akela raha hun
udasi ka aalam yahan tak raha hai
main hote hue sab akela raha hun
yahan se wahan tak idhar se udhar tak
main pashchim se purab akela raha hun
bahut hausla mujh ko main ne diya hai
main rote hue jab akela raha hun
teri zat mujh se juda hi rahi hai
main tab ho ki ya ab akela raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.