kahan furqat mein hai dildar uThna baiThna chalna
kahāñ furqat meñ hai dildār uThnā baiThnā chalnā
tere āshiq ko hai dushvār uThnā baiThnā chalnā
tumhārā vahshī-e-lāġhar na Thahrā shahr meñ dam bhar
pasand aayā sar-e-kohsār uThnā baiThnā chalnā
faqīrāna kisī ke zer-e-sā.e ham bhī rahte haiñ
hamesha hai pas-e-dīvār uThnā baiThnā chalnā
kaheñ kyā dosto is ishq ne aajiz kiyā ham ko
girāñ hotā hai ab har baar uThnā baiThnā chalnā
'shabāb' is be-ḳhudī meñ mashġhala hai bas yahī baaqī
miyān-e-kūcha-e-dildār uThnā baiThnā chalnā
kahan furqat mein hai dildar uThna baiThna chalna
tere aashiq ko hai dushwar uThna baiThna chalna
tumhaara wahshi-e-laghar na Thahra shahr mein dam bhar
pasand aaya sar-e-kohsar uThna baiThna chalna
faqirana kisi ke zer-e-sae hum bhi rahte hain
hamesha hai pas-e-diwar uThna baiThna chalna
kahen kya dosto is ishq ne aajiz kiya hum ko
giran hota hai ab har bar uThna baiThna chalna
'shabab' is be-KHudi mein mashghala hai bas yahi baqi
miyan-e-kucha-e-dildar uThna baiThna chalna
- Deewan-e-Shabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.