kahan ghaeb hua wo ghar parinde se zara puchho
kahāñ ġhā.eb huā vo ghar parinde se zarā pūchho
bhayānak āñdhiyoñ kā Dar parinde se zarā pūchho
mushāhid ko lagā āsān hai tūfān meñ uḌnā
zamīñ se arsh tak dūbhar parinde se zarā pūchho
uThā.e pañkh tab ākāsh bhī chhoTā paḌā thā phir
qafas meñ haiñ samā.e par parinde se zarā pūchho
kahan ghaeb hua wo ghar parinde se zara puchho
bhayanak aandhiyon ka Dar parinde se zara puchho
mushahid ko laga aasan hai tufan mein uDna
zamin se arsh tak dubhar parinde se zara puchho
uThae pankh tab aakash bhi chhoTa paDa tha phir
qafas mein hain samae par parinde se zara puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.