kahan ho kaun ho kya ho hamein batao to
kahāñ ho kaun ho kyā ho hameñ batāo to
nikal ke parda-e-dair-o-haram se aao to
añdherā phir na rahegā diye jalāo to
ruḳh-e-hayāt se ik ik naqāb uThāo to
maiñ apne jazb-e-mohabbat kā imtihāñ le luuñ
kuchh aur merī nigāhoñ se duur jaao to
zamāna ho gayā chhāyā hai gulsitāñ pe jumūd
chaman-parasto nayā gul koī khilāo to
ujāle sīna-e-zulmāt hī se nikleñge
charāġh-e-amn-o-mohabbat zarā jalāo to
qadam qadam pe banā.ūñgā ek shīsh-mahal
tum apne shahr meñ mujh ko kabhī bulāo to
zabāñ pe hogā tumhārī bhī shikva-e-duniyā
hamārī tarah zarā tum bhī choT khaao to
jhukegā ek zamāna tumhāre qadmoñ par
ḳhudā ke sāmne ai 'nūr' sar jhukāo to
kahan ho kaun ho kya ho hamein batao to
nikal ke parda-e-dair-o-haram se aao to
andhera phir na rahega diye jalao to
ruKH-e-hayat se ek ek naqab uThao to
main apne jazb-e-mohabbat ka imtihan le lun
kuchh aur meri nigahon se dur jao to
zamana ho gaya chhaya hai gulsitan pe jumud
chaman-parasto naya gul koi khilao to
ujale sina-e-zulmat hi se niklenge
charagh-e-amn-o-mohabbat zara jalao to
qadam qadam pe banaunga ek shish-mahal
tum apne shahr mein mujh ko kabhi bulao to
zaban pe hoga tumhaari bhi shikwa-e-duniya
hamari tarah zara tum bhi choT khao to
jhukega ek zamana tumhaare qadmon par
KHuda ke samne ai 'nur' sar jhukao to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.