kahan ke jam-o-subu kya tulua-e-mai-KHana
kahāñ ke jām-o-subū kyā tulūa-e-mai-ḳhāna
tirī nigāh na kartī jo kār-e-rindāna
harīm-e-husn na ka.aba na sahn-e-but-ḳhāna
dil-e-shikasta-e-āshiq hai ḳhuld-e-jānāna
ye terī yaad kā e.ajāz thā ki faiz-e-junūñ
har ik maqām se guzrā huuñ be-niyāzāna
bat-e-sharāb thī ḳhāmosh dil-zada mai-kash
ye kaun aayā ki lau de uThā hai mai-ḳhāna
qalandarī mirā maslak sikandarī hai tarīq
guzar rahā huuñ do-ālam se be-niyāzāna
chhupā rahā huuñ zamāne se dil ke zaḳhmoñ ko
ki terā naam na ho jaa.e zeb-e-afsāna
baḌhā jo ilm to zehnoñ ko kar gayā tārīk
haqīqatoñ kā banāte haiñ log afsāna
vo kam-nazar haiñ jo dete haiñ sham.a ko ilzām
ḳhud apnī aag meñ jaltā hai aap parvāna
ḳhudā-shanās-o-ḳhud-āgahī sarisht-e-junūñ
ḳhirad-asīr tū ham haiñ ḳhirad sanam-ḳhāna
Thahar gayā huuñ kahāñ jāda-e-tamannā meñ
har aarzū nazar aatī hai ek but-ḳhāna
zamīn-e-hazrat-e-'iqbāl' meñ ye taaza ġhazal
huzūr-e-hazrat-e-'iqbāl' merā nazrāna
kahan ke jam-o-subu kya tulua-e-mai-KHana
teri nigah na karti jo kar-e-rindana
harim-e-husn na kaba na sahn-e-but-KHana
dil-e-shikasta-e-ashiq hai KHuld-e-jaanana
ye teri yaad ka eajaz tha ki faiz-e-junun
har ek maqam se guzra hun be-niyazana
bat-e-sharab thi KHamosh dil-zada mai-kash
ye kaun aaya ki lau de uTha hai mai-KHana
qalandari mera maslak sikandari hai tariq
guzar raha hun do-alam se be-niyazana
chhupa raha hun zamane se dil ke zaKHmon ko
ki tera nam na ho jae zeb-e-afsana
baDha jo ilm to zehnon ko kar gaya tarik
haqiqaton ka banate hain log afsana
wo kam-nazar hain jo dete hain shama ko ilzam
KHud apni aag mein jalta hai aap parwana
KHuda-shanas-o-KHud-agahi sarisht-e-junun
KHirad-asir tu hum hain KHirad sanam-KHana
Thahar gaya hun kahan jada-e-tamanna mein
har aarzu nazar aati hai ek but-KHana
zamin-e-hazrat-e-'iqbaal' mein ye taza ghazal
huzur-e-hazrat-e-'iqbaal' mera nazrana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.