kahan kisi ki himayat mein mara jaunga
kahāñ kisī kī himāyat meñ maarā jā.ūñgā
maiñ ġham-shanās muravvat meñ maarā jā.ūñgā
maiñ maarā jā.ūñgā pahle kisī fasāne meñ
phir is ke ba.ad haqīqat meñ maarā jā.ūñgā
mirā ye ḳhuun mire dushmanoñ ke sar hogā
maiñ dostoñ kī hirāsat meñ maarā jā.ūñgā
maiñ chup rahā to mujhe maar degā merā zamīr
gavāhī dī to adālat meñ maarā jā.ūñgā
hisas meñ baañT rahe haiñ mujhe mire ahbāb
maiñ kārobār-e-shirākat meñ maarā jā.ūñgā
bas ek sulh kī sūrat meñ jān-baḳhshī hai
kisī bhī dūsrī sūrat meñ maarā jā.ūñgā
nahīñ marūñgā kisī jañg meñ ye soch liyā
maiñ ab kī baar mohabbat meñ maarā jā.ūñgā
kahan kisi ki himayat mein mara jaunga
main gham-shanas murawwat mein mara jaunga
main mara jaunga pahle kisi fasane mein
phir is ke baad haqiqat mein mara jaunga
mera ye KHun mere dushmanon ke sar hoga
main doston ki hirasat mein mara jaunga
main chup raha to mujhe mar dega mera zamir
gawahi di to adalat mein mara jaunga
hisas mein banT rahe hain mujhe mere ahbab
main karobar-e-shirakat mein mara jaunga
bas ek sulh ki surat mein jaan-baKHshi hai
kisi bhi dusri surat mein mara jaunga
nahin marunga kisi jang mein ye soch liya
main ab ki bar mohabbat mein mara jaunga
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 29.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.