kahan le jaegi dekhun ye meri aarzu mujhko
kahāñ le jā.egī dekhūñ ye merī aarzū mujh ko
liye phirtī hai har jānib tumhārī justujū mujh ko
bar aatī aarzū muddat pe mujh bargashta-kismat kī
bulāte apnī mahfil meñ agar tum rū-ba-rū mujh ko
mohabbat aisī shai hai jis se baaz aa.e koī āshiq
pasand aatī nahīñ nāseh tumhārī guftugū mujh ko
taḌap kar jism-e-ḳhākī se nikal jaatī ye jaañ apnī
na samjhātī shab-e-furqat jo terī aarzū mujh ko
mohabbat meñ kisī gul ke jalā jaatā hai dil apnā
'jamīla' misl-e-shabnam ho ga.ī rone kī ḳhū mujh ko
kahan le jaegi dekhun ye meri aarzu mujh ko
liye phirti hai har jaanib tumhaari justuju mujh ko
bar aati aarzu muddat pe mujh bargashta-kismat ki
bulate apni mahfil mein agar tum ru-ba-ru mujh ko
mohabbat aisi shai hai jis se baz aae koi aashiq
pasand aati nahin naseh tumhaari guftugu mujh ko
taDap kar jism-e-KHaki se nikal jati ye jaan apni
na samjhati shab-e-furqat jo teri aarzu mujh ko
mohabbat mein kisi gul ke jala jata hai dil apna
'jamila' misl-e-shabnam ho gai rone ki KHu mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.