kahan main abhi tak nazar aa saka hun
kahāñ maiñ abhī tak nazar aa sakā huuñ
ḳhudā jaane kitnī tahoñ meñ chhupā huuñ
ye kis ne sadā dī mujhe zindagī ne
magar maiñ to sadiyāñ huiiñ mar chukā huuñ
ye kah kar to manzil ne dil toḌ Daalā
jahāñ se chalā thā vahī marhala huuñ
ye dilchasp va.ade ye rañgīñ dilāse
ajab sāzisheñ haiñ kahāñ aa gayā huuñ
tirā qurb hāsil huā bhī to kyā hai
vahī fāsla thā vahī fāsla huuñ
kahan main abhi tak nazar aa saka hun
KHuda jaane kitni tahon mein chhupa hun
ye kis ne sada di mujhe zindagi ne
magar main to sadiyan huin mar chuka hun
ye kah kar to manzil ne dil toD Dala
jahan se chala tha wahi marhala hun
ye dilchasp wade ye rangin dilase
ajab sazishen hain kahan aa gaya hun
tera qurb hasil hua bhi to kya hai
wahi fasla tha wahi fasla hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.