Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona

Anwari Jahan Begum Hijab

kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona

Anwari Jahan Begum Hijab

MORE BYAnwari Jahan Begum Hijab

    kahāñ mumkin hai poshīda ġham-e-dil asar honā

    laboñ ḳhushk ho jaanā bhī hai āñkhoñ tar honā

    ġhazab mil kar judā mujh se tirā o fitna-gar honā

    sitam nāloñ pur-tāsīr ho kar be-asar honā

    jigar meñ dard lab par nāla-e-vahshat asar honā

    ayaañ kartā hai ik rashk-e-parī dil meñ ghar honā

    ġhazab nāla-kashī ik sahib-e-ismat ke kūche meñ

    sitam ai dil kisī parda-nashīñ parda-dar honā

    vo un chupke chupke muskurānā ḳhuun rone par

    vo merā dil dil meñ vāsif-e-rañg-e-asar honā

    jo tanhā paas manzil dil ko shāyāñ hai mohabbat meñ

    to āñkhoñ ko hai lāzim dīda-e-hasrat-nagar honā

    qayāmat thā sitam thā qahr thā ḳhalvat meñ o zālim

    vo sharmā kar tirā merī baġhal meñ jalva-gar honā

    sitam jaur bedād kaafī shahādat hai

    judā.ī meñ mirā betāb be-ḳhud be-ḳhabar honā

    kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona

    labon ka KHushk ho jaana bhi hai aankhon ka tar hona

    ghazab mil kar juda mujh se tera o fitna-gar hona

    sitam nalon ka pur-tasir ho kar be-asar hona

    jigar mein dard lab par nala-e-wahshat asar hona

    ayan karta hai ek rashk-e-pari ka dil mein ghar hona

    ghazab nala-kashi ek sahib-e-ismat ke kuche mein

    sitam ai dil kisi parda-nashin ka parda-dar hona

    wo un ka chupke chupke muskurana KHun rone par

    wo mera dil hi dil mein wasif-e-rang-e-asar hona

    jo tanha pas manzil dil ko shayan hai mohabbat mein

    to aankhon ko hai lazim dida-e-hasrat-nagar hona

    qayamat tha sitam tha qahr tha KHalwat mein o zalim

    wo sharma kar tera meri baghal mein jalwa-gar hona

    sitam ki jaur ki bedad ki kafi shahadat hai

    judai mein mera betab be-KHud be-KHabar hona

    Source :
    • Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 116)
    • Author : Khan Mohammad Atif
    • Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now