kahan rahi hai mohabbat ki aas shahron mein
kahāñ rahī hai mohabbat kī aas shahroñ meñ
badal liye haiñ sabhī ne libās shahroñ meñ
sagān-e-tishna har ik rahguzar pe baiThe haiñ
rahā nahīñ hai ab insāñ kā paas shahroñ meñ
masīhī ḳhuuñ ho ki shii.a ho ahmadī sunnī
lahū kī baḌhtī hī jaatī hai pyaas shahroñ meñ
lahū ke āḳhirī qatre bhī be-jazā Thahre
kahāñ se ā.eñge ab haq-shanās shahroñ meñ
kanār-e-shahr dukhoñ ki ridā meñ lipTī hoī
sisak rahī hai ujāloñ kī aas shahroñ meñ
kahan rahi hai mohabbat ki aas shahron mein
badal liye hain sabhi ne libas shahron mein
sagan-e-tishna har ek rahguzar pe baiThe hain
raha nahin hai ab insan ka pas shahron mein
masihi KHun ho ki shia ho ahmadi sunni
lahu ki baDhti hi jati hai pyas shahron mein
lahu ke aaKHiri qatre bhi be-jaza Thahre
kahan se aaenge ab haq-shanas shahron mein
kanar-e-shahr dukhon ki rida mein lipTi hoi
sisak rahi hai ujalon ki aas shahron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.