kahan sambhalte hain bahte hue bahaw mein log
kahāñ sambhalte haiñ bahte hue bahāv meñ log
magar jo zaḳhm uThā.eñge is chunāv meñ log
tumhāre nīm-tabassum se saaf zāhir hai
ham aise maar diye jaa.eñ rakh-rakhāv meñ log
ye mere haq meñ lagātār bolte hue ab
kisī natīje pe pahuñche tire dabāv meñ log
dahak rahā hai abhī se ruḳh-e-ziyāñ-kārī
safar kā jā.eza leñge kisī paḌāv meñ log
kahānī jab kahīñ dhuñdlā ke naqsh khone lage
sarāpā dekh liyā karte haiñ alaav meñ log
tū apne vaqt kā yūsuf hai aur sar-e-bāzār
tujhe gañvā hī na deñ aise bhāv-tāv meñ log
kahan sambhalte hain bahte hue bahaw mein log
magar jo zaKHm uThaenge is chunaw mein log
tumhaare nim-tabassum se saf zahir hai
hum aise mar diye jaen rakh-rakhaw mein log
ye mere haq mein lagatar bolte hue ab
kisi natije pe pahunche tere dabaw mein log
dahak raha hai abhi se ruKH-e-ziyan-kari
safar ka jaeza lenge kisi paDaw mein log
kahani jab kahin dhundla ke naqsh khone lage
sarapa dekh liya karte hain alaw mein log
tu apne waqt ka yusuf hai aur sar-e-bazar
tujhe ganwa hi na den aise bhaw-taw mein log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.