kahan se gai baat meri kahan ko
kahāñ se ga.ī baat merī kahāñ ko
yuuñ kahiye zabāñ de rahā huuñ zabāñ ko
chalā huuñ kī phir kuchh nayā maan pā.ūñ
hisār-e-yaqīñ Dah ke dasht-e-gumāñ ko
vajūd isti.āra hai nazm-e-jahāñ meñ
hai matlūb adam shā.ir-e-lā-makāñ ko
hai saaya giraftār-e-panja-e-ḳhurshīd
salāsil haiñ ham to ḳhudī ayaañ ko
havā azal kī girah khulne ko thī
uḌī nāḳhun-e-sham.a-e-hastī kahāñ ko
uThā dast-e-ātish-zada sā zamīñ se
dhuāñ shahr-e-dehlī kā phir āsmāñ ko
faqat merā aks-e-tasavvur hai ye sher
kabhī dekh is ā.īna-e-be-nishāñ ko
dil-e-ġhaflat-o-āgahī huuñ so chup huuñ
na pūchh is ġham-e-sabr-o-zabt-e-imtihāñ ko
sadaf-gard ḳhvāb-e-muhīt-e-ravāñ ḳhvāb
guhar-ḳhvāb ḳhvābīda chashm-e-nihāñ ko
kahan se gai baat meri kahan ko
yun kahiye zaban de raha hun zaban ko
chala hun ki phir kuchh naya man paun
hisar-e-yaqin Dah ke dasht-e-guman ko
wajud istiara hai nazm-e-jahan mein
hai matlub adam shair-e-la-makan ko
hai saya giraftar-e-panja-e-KHurshid
salasil hain hum to KHudi ayan ko
hawa azal ki girah khulne ko thi
uDi naKHun-e-shama-e-hasti kahan ko
uTha dast-e-atish-zada sa zamin se
dhuan shahr-e-dehli ka phir aasman ko
faqat mera aks-e-tasawwur hai ye sher
kabhi dekh is aaina-e-be-nishan ko
dil-e-ghaflat-o-agahi hun so chup hun
na puchh is gham-e-sabr-o-zabt-e-imtihan ko
sadaf-gard KHwab-e-muhit-e-rawan KHwab
guhar-KHwab KHwabida chashm-e-nihan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.