kahan talash karen naqsh-e-ashiyana koi
kahāñ talāsh kareñ naqsh-e-āshiyāna koī
ye shahr jaise baḌā sā hai qaid-ḳhāna koī
so apnī hijrat-e-paiham kā bas javāz hai ye
parinde DhūñDte rahte haiñ āb-o-dāna koī
ma.āl-e-ishq pata hai use magar phir bhī
talāsh letā hai har baar dil bahāna koī
ajab tilism hai jo vaqt kho gayā hai kahīñ
huā hai laad ke din raat ko ravāna koī
khile haiñ phuul sabā chaar sū hai mahkī huī
chaman se guzrā thā kyā husn-e-kāfirāna koī
kabhī to hazrat-e-nāseh bhī dil kushād kareñ
kabhī to mashvara deñ ham ko muḳhlisāna koī
ajiib log haiñ nīñdeñ ajiib haiñ in kī
jagā sakā na 'qamar' in ko tāziyāna koī
kahan talash karen naqsh-e-ashiyana koi
ye shahr jaise baDa sa hai qaid-KHana koi
so apni hijrat-e-paiham ka bas jawaz hai ye
parinde DhunDte rahte hain aab-o-dana koi
maal-e-ishq pata hai use magar phir bhi
talash leta hai har bar dil bahana koi
ajab tilism hai jo waqt kho gaya hai kahin
hua hai lad ke din raat ko rawana koi
khile hain phul saba chaar su hai mahki hui
chaman se guzra tha kya husn-e-kafirana koi
kabhi to hazrat-e-naseh bhi dil kushad karen
kabhi to mashwara den hum ko muKHlisana koi
ajib log hain ninden ajib hain in ki
jaga saka na 'qamar' in ko taziyana koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.