kahan talash karun ab ufuq kahani ka
kahāñ talāsh karūñ ab ufuq kahānī kā
nazar ke sāmne manzar hai be-karānī kā
nadī ke donoñ taraf saarī kashtiyāñ gum thiiñ
bahut hī tez thā ab ke nasha ravānī kā
maiñ kyuuñ na Dūbte manzar ke saath Duub hī jā.ūñ
ye shaam aur samundar udaas paanī kā
parinde pahlī uḌānoñ ke ba.ad lauT aa.e
lapak uThā koī ehsās rā.egānī kā
maiñ Dar rahā huuñ havā meñ kahīñ bikhar hī jaa.e
ye phuul phuul sā lamha tirī nishānī kā
vo hañste khelte ik lafz kah gayā 'bānī'
magar mire liye daftar khulā ma.ānī kā
kahan talash karun ab ufuq kahani ka
nazar ke samne manzar hai be-karani ka
nadi ke donon taraf sari kashtiyan gum thin
bahut hi tez tha ab ke nasha rawani ka
main kyun na Dubte manzar ke sath Dub hi jaun
ye sham aur samundar udas pani ka
parinde pahli uDanon ke baad lauT aae
lapak uTha koi ehsas raegani ka
main Dar raha hun hawa mein kahin bikhar hi jae
ye phul phul sa lamha teri nishani ka
wo hanste khelte ek lafz kah gaya 'bani'
magar mere liye daftar khula maani ka
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 287)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.