kahan talash karun ab ufuq kahani ka
kahāñ talāsh karūñ ab ufuq kahānī kā
mizāj kaun samajhtā hai bahte paanī kā
ġhurūb hote hī sūraj ubharne lagtā hai
mire vajūd meñ sahrā zarar-fishānī kā
vo peḌ jis meñ faqat be-libās shāḳheñ thiiñ
usī se kaam liyā maiñ ne sā.ebānī kā
karūñ kahāñ se shurūa aur kahāñ pe ḳhatm karūñ
sirā hī miltā nahīñ vaqt kī kahānī kā
mujhe ginā.e ga.e vasf mere dushman ke
atā kiyā gayā mansab qasīda-ḳhvāni kā
bahār surḳh-qabā hai chaman sharār-ba-dosh
hamāre shahr meñ mausam hai gul-fishānī kā
qasam thī abr ko bhī mehrbāñ na hone kī
mujhe bhī karnā thā iz.hār saḳht jaanī kā
qadam baḌhānā mirā vādī-e-tahayyur meñ
tilism TūTnā sahrā-e-be-karānī kā
ye khiḌkiyāñ ye darīche nahīñ haiñ āñkheñ haiñ
makān meñ bhī hai ehsās be-makānī kā
vo gul-mizāj jo masrūf-e-guftugū ho kabhī
ḳhayāl aatā hai dariyāoñ kī ravānī kā
vo tarjume ke liye us ke ḳhāl-o-ḳhad na paḌhe
jise hunar nahīñ aatā hai tarjumānī kā
chalan se ho gayā bāhar to aur kyā kartā
libās utaar diyā maiñ ne be-zabānī kā
utar ke harf ke bātin meñ dekhnā 'yāvar'
jo raqs dekhnā ho sho.ala-e-ma.ānī kā
kahan talash karun ab ufuq kahani ka
mizaj kaun samajhta hai bahte pani ka
ghurub hote hi suraj ubharne lagta hai
mere wajud mein sahra zarar-fishani ka
wo peD jis mein faqat be-libas shaKHen thin
usi se kaam liya main ne saebani ka
karun kahan se shurua aur kahan pe KHatm karun
sira hi milta nahin waqt ki kahani ka
mujhe ginae gae wasf mere dushman ke
ata kiya gaya mansab qasida-KHwani ka
bahaar surKH-qaba hai chaman sharar-ba-dosh
hamare shahr mein mausam hai gul-fishani ka
qasam thi abr ko bhi mehrban na hone ki
mujhe bhi karna tha izhaar saKHt jaani ka
qadam baDhana mera wadi-e-tahayyur mein
tilism TuTna sahra-e-be-karani ka
ye khiDkiyan ye dariche nahin hain aankhen hain
makan mein bhi hai ehsas be-makani ka
wo gul-mizaj jo masruf-e-guftugu ho kabhi
KHayal aata hai dariyaon ki rawani ka
wo tarjume ke liye us ke KHal-o-KHad na paDhe
jise hunar nahin aata hai tarjumani ka
chalan se ho gaya bahar to aur kya karta
libas utar diya main ne be-zabani ka
utar ke harf ke baatin mein dekhna 'yawar'
jo raqs dekhna ho shoala-e-maani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.