kahani kuchh bhi nahin thi bayan ziyaada tha
kahānī kuchh bhī nahīñ thī bayāñ ziyāda thā
zarā sī aag lagī thī dhuāñ ziyāda thā
vo kārvāñ meñ na thā aisī koī baat nahīñ
bichhaḌ gayā thā ki vo bad-gumāñ ziyāda thā
bas is sabab se na raas aa sakī hameñ ye zamīñ
ki apne zehn meñ ye āsmāñ ziyāda thā
maiñ us ke saath safar kar sakā na duur talak
ki lafz lafz vo mujh par ayaañ ziyāda thā
to is meñ kyā hai ta.ajjub hue jo aap tabāh
'obaid' aap pe vo mehrbāñ ziyāda thā
kahani kuchh bhi nahin thi bayan ziyaada tha
zara si aag lagi thi dhuan ziyaada tha
wo karwan mein na tha aisi koi baat nahin
bichhaD gaya tha ki wo bad-guman ziyaada tha
bas is sabab se na ras aa saki hamein ye zamin
ki apne zehn mein ye aasman ziyaada tha
main us ke sath safar kar saka na dur talak
ki lafz lafz wo mujh par ayan ziyaada tha
to is mein kya hai tajjub hue jo aap tabah
'obaid' aap pe wo mehrban ziyaada tha
- Book : سخن دریا (Pg. 60)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.