kahaniyan bhi gain qissa-KHwaniyan bhi gain
kahāniyāñ bhī ga.iiñ qissa-ḳhvāniyāñ bhī ga.iiñ
vafā ke baab kī sab be-zabāniyāñ bhī ga.iiñ
vo bāzyābī-e-ġham kī sabīl bhī na rahī
luTā yuuñ dil ki sabhī be-sabātiyāñ bhī ga.iiñ
havā chalī to hare patte suukh kar TuuTe
jo sub.h aa.ī to hīrā-numā.iyāñ bhī ga.iiñ
vo merā chehra mujhe aa.ine meñ apnā lage
isī talab meñ badan kī nishāniyāñ bhī ga.iiñ
palaT palaT ke tumheñ dekhā par mile bhī nahīñ
vo ahd-e-zabt bhī TuuTā shitābiyāñ bhī ga.iiñ
mujhe to aañkh jhapaknā bhī thā girāñ lekin
dil o nazar kī tasavvur-shiāriyāñ bhī ga.iiñ
kahaniyan bhi gain qissa-KHwaniyan bhi gain
wafa ke bab ki sab be-zabaniyan bhi gain
wo bazyabi-e-gham ki sabil bhi na rahi
luTa yun dil ki sabhi be-sabaatiyan bhi gain
hawa chali to hare patte sukh kar TuTe
jo subh aai to hira-numaiyan bhi gain
wo mera chehra mujhe aaine mein apna lage
isi talab mein badan ki nishaniyan bhi gain
palaT palaT ke tumhein dekha par mile bhi nahin
wo ahd-e-zabt bhi TuTa shitabiyan bhi gain
mujhe to aankh jhapakna bhi tha giran lekin
dil o nazar ki tasawwur-shiariyan bhi gain
- Book : Junoon (Pg. 134)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.