kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati
kaheñ ham kyā kisī se dil kī vīrānī nahīñ jaatī
hamārī zindagī bhī ham se pahchānī nahīñ jaatī
ba-zāhir aisā lagtā hai sabhī haiñ mast duniyā meñ
magar chehroñ se poshīda pareshānī nahīñ jaatī
ravā-dārī kī chādar se kahāñ tak ḳhud ko Dhāpeñge
ki is kam-zarf duniyā meñ to ye taanī nahīñ jaatī
bahut samjhā liyā dil ko bichhaḌnā to muqaddar thā
na jaane kyuuñ mire dil se pashemānī nahīñ jaatī
bahut hī lāDlā Thahrā ye maanā dil hamārā hai
magar ab is kī har ik baat to maanī nahīñ jaatī
kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati
hamari zindagi bhi hum se pahchani nahin jati
ba-zahir aisa lagta hai sabhi hain mast duniya mein
magar chehron se poshida pareshani nahin jati
rawa-dari ki chadar se kahan tak KHud ko Dhapenge
ki is kam-zarf duniya mein to ye tani nahin jati
bahut samjha liya dil ko bichhaDna to muqaddar tha
na jaane kyun mere dil se pashemani nahin jati
bahut hi laDla Thahra ye mana dil hamara hai
magar ab is ki har ek baat to mani nahin jati
- Book : Koi bhi rut ho (Pg. 27)
- Author : Farah iqbal
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.