kahenge kis se hain KHud apni tegh ke ghayal
kaheñge kis se haiñ ḳhud apnī teġh ke ghāyal
na iḳhtiyār pe qaabū na jabr ke qaa.il
maiñ ḳhud huuñ apnī tamannā-farebiyoñ kā shikār
jo dil pe guzre guzar jaa.e par na tū ho ḳhajil
hayāt vaqfa-e-rāhat hai rāh-rau ke liye
adam se tā-ba-adam hai safar kī ik manzil
naved-e-ālam-e-nau de rahā hai sail-e-iram
chhupe hue haiñ samundar kī tah meñ bhī sāhil
na baḌh sakā had-e-idrāk se shu.ūr-e-talab
gunāhgār huuñ maiñ apne hausloñ se ḳhajil
hai bār-e-dosh hamāre liye bhī sar apnā
tumhāre shahr meñ phirte haiñ ab khule qātil
mujhe to sadma-e-furqat se itnā hosh na thā
tumheñ ḳhabar hai ye kis kā dhaḌak rahā thā dil
abhī se garmī-e-āġhosh-e-mauj-e-bahr kahāñ
bahut hai duur abhī to murād kā sāhil
vo chaaT lete haiñ kaliyoñ se qatra-e-shabnam
jinheñ samajhte haiñ duniyā meñ log dariyā-dil
hamīñ ne dard ko saare jahāñ ke apnāyā
hamīñ ko log samajhte haiñ mujrim-o-qātil
muāhida bhalā sayyād-o-said meñ kaisā
ye ittifāq hai vo bhī haiñ aaj pā-dar-gil
qalandarān-e-tahī-dast kuchh nahīñ rakhte
zah-e-nasīb agar ho qubūl hadiya-e-dil
vo 'qādrī' ko samajhte haiñ jāñ-nisāroñ meñ
karam hai un kā faqat ham nahīñ kisī qābil
kahenge kis se hain KHud apni tegh ke ghayal
na iKHtiyar pe qabu na jabr ke qail
main KHud hun apni tamanna-farebiyon ka shikar
jo dil pe guzre guzar jae par na tu ho KHajil
hayat waqfa-e-rahat hai rah-rau ke liye
adam se ta-ba-adam hai safar ki ek manzil
nawed-e-alam-e-nau de raha hai sail-e-iram
chhupe hue hain samundar ki tah mein bhi sahil
na baDh saka had-e-idrak se shuur-e-talab
gunahgar hun main apne hauslon se KHajil
hai bar-e-dosh hamare liye bhi sar apna
tumhaare shahr mein phirte hain ab khule qatil
mujhe to sadma-e-furqat se itna hosh na tha
tumhein KHabar hai ye kis ka dhaDak raha tha dil
abhi se garmi-e-aghosh-e-mauj-e-bahr kahan
bahut hai dur abhi to murad ka sahil
wo chaT lete hain kaliyon se qatra-e-shabnam
jinhen samajhte hain duniya mein log dariya-dil
hamin ne dard ko sare jahan ke apnaya
hamin ko log samajhte hain mujrim-o-qatil
muahida bhala sayyaad-o-said mein kaisa
ye ittifaq hai wo bhi hain aaj pa-dar-gil
qalandaran-e-tahi-dast kuchh nahin rakhte
zah-e-nasib agar ho qubul hadiya-e-dil
wo 'qadri' ko samajhte hain jaan-nisaron mein
karam hai un ka faqat hum nahin kisi qabil
- Book : Sada-e-sher-e-fusu.n (Pg. 17)
- Author : Khalid Hassan Qadrii
- Publication : Asif Javed (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.