kahi jo baat wo sach bhi magar mani nahin jati
kahī jo baat vo sach bhī magar maanī nahīñ jaatī
mire chhoTe se dil kī ye pareshānī nahīñ jaatī
vo beTā hai maiñ beTī huuñ yahī ik farq hai ham meñ
mirī qismat meñ hai piñjra vaañ shaitānī nahīñ jaatī
kisī ke aañkh kā paanī kisī ke dil kī vīrānī
agar parde ke pīchhe ho to pahchānī nahīñ jaatī
vo aadhe chāñd ke chhupne pe tāroñ kā chamak uThnā
ye manzar bārhā dekhā pa hairānī nahīñ jaatī
isī ummīd meñ the ham ki duniyā meñ sukūñ hogā
ḳhabar jag bhar kī rakhte haiñ pa nādānī nahīñ jaatī
kisī ke dil ko toḌā thā huī thī ye ḳhatā ham se
bahut muddat huī lekin pashemānī nahīñ jaatī
baḌī lambī chhalāñgeñ haiñ bahut ūñche haiñ sab sapne
mire poshīda ḳhvāboñ kī farāvānī nahīñ jaatī
kahi jo baat wo sach bhi magar mani nahin jati
mere chhoTe se dil ki ye pareshani nahin jati
wo beTa hai main beTi hun yahi ek farq hai hum mein
meri qismat mein hai pinjra wan shaitani nahin jati
kisi ke aankh ka pani kisi ke dil ki virani
agar parde ke pichhe ho to pahchani nahin jati
wo aadhe chand ke chhupne pe taron ka chamak uThna
ye manzar barha dekha pa hairani nahin jati
isi ummid mein the hum ki duniya mein sukun hoga
KHabar jag bhar ki rakhte hain pa nadani nahin jati
kisi ke dil ko toDa tha hui thi ye KHata hum se
bahut muddat hui lekin pashemani nahin jati
baDi lambi chhalangen hain bahut unche hain sab sapne
mere poshida KHwabon ki farawani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.