kahi jo humne ghazal ek ghazal ke chehre par
kahi jo humne ghazal ek ghazal ke chehre par
Muzammil Abbas Shajar
MORE BYMuzammil Abbas Shajar
kahī jo ham ne ġhazal ik ġhazal ke chehre par
chaḌhā.ī tevrī us ne machal ke chehre par
hamāre shahr meñ kuchh din guzār kar dekho
udāsī raqs karegī uchhal ke chehre par
baḌhātā jā.ūñgā har chand raunaq-e-maqtal
maiñ chal paḌā huuñ lahū apnā mal ke chehre par
talāsh karte haiñ vo aaj apne chehre ko
jo phirte rahte the chehre badal ke chehre par
ḳhizāñ bahār kī masnad pe aa ga.ī haa.e
naqāb kar liyā us ne sañbhal ke chehre par
fazā-e-makr ne sahrā ko kar diyā dariyā
sarāb sajne lage haiñ ramal ke chehre par
idhar marūñgā udhar mar ke jī uThūñgā 'shajar'
hayāt maiñ ne paḌhī hai ajal ke chehre par
kahi jo hum ne ghazal ek ghazal ke chehre par
chaDhai tewri us ne machal ke chehre par
hamare shahr mein kuchh din guzar kar dekho
udasi raqs karegi uchhal ke chehre par
baDhata jaunga har chand raunaq-e-maqtal
main chal paDa hun lahu apna mal ke chehre par
talash karte hain wo aaj apne chehre ko
jo phirte rahte the chehre badal ke chehre par
KHizan bahaar ki masnad pe aa gai hae
naqab kar liya us ne sanbhal ke chehre par
faza-e-makr ne sahra ko kar diya dariya
sarab sajne lage hain ramal ke chehre par
idhar marunga udhar mar ke ji uThunga 'shajar'
hayat main ne paDhi hai ajal ke chehre par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.