Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahi kisi se na rudad-e-zindagi maine

Salik Lakhnavi

kahi kisi se na rudad-e-zindagi maine

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    kahī kisī se na rūdād-e-zindagī maiñ ne

    guzār dene shai thī guzār maiñ ne

    mirī vafā huī ta.alīm-e-ḳhud-sarī tujh ko

    tirī jafā se liyā dars-e-zindagī maiñ ne

    hujūm-e-yās meñ barbādī-e-tamannā meñ

    sadā-e-dost sunī hai kabhī kabhī maiñ ne

    vufūr-e-josh-e-parastish ne kar diyā majbūr

    kisī ko DhūñDh liyā bahr-e-bandagī maiñ ne

    kabhī yaqīñ to butoñ ko ḳhudā banā Daalā

    kabhī gumāñ to ḳhudā nahīñ sunī maiñ ne

    gumāñ to nazr-e-ḳhirad kā.enāt kar Daalī

    yaqīñ to vaqt raftār rok maiñ ne

    girāñ nahīñ hai ye saudā ki dostī meñ tirī

    ḳharīd hai zamāne dushmanī maiñ ne

    kahi kisi se na rudad-e-zindagi main ne

    guzar dene ki shai thi guzar di main ne

    meri wafa hui talim-e-KHud-sari tujh ko

    teri jafa se liya dars-e-zindagi main ne

    hujum-e-yas mein barbaadi-e-tamanna mein

    sada-e-dost suni hai kabhi kabhi main ne

    wufur-e-josh-e-parastish ne kar diya majbur

    kisi ko DhunDh liya bahr-e-bandagi main ne

    kabhi yaqin to buton ko KHuda bana Dala

    kabhi guman to KHuda ki nahin suni main ne

    guman to nazr-e-KHirad kaenat kar Dali

    yaqin to waqt ki raftar rok li main ne

    giran nahin hai ye sauda ki dosti mein teri

    KHarid li hai zamane ki dushmani main ne

    Source:

    (Pg. 138)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now