Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin aankhen kahin bazu kahin se sar nikal aae

Saleem Figar

kahin aankhen kahin bazu kahin se sar nikal aae

Saleem Figar

MORE BYSaleem Figar

    kahīñ āñkheñ kahīñ baazū kahīñ se sar nikal aa.e

    añdherā phailte har taraf se Dar nikal aa.e

    hue haiñ khokhle ham log hijrat meñ so Darte haiñ

    ḳhalā ye ruuh aisā na ho bāhar nikal aa.e

    ye lagtā hai ki pattoñ pe rakhī thiiñ muntazir āñkheñ

    mire aate kitne phuul shāḳhoñ par nikal aa.e

    na jaane khol de kab koī lamha yaad gaThrī

    kisī kone se maazī hasīñ manzar nikal aa.e

    mire hoñToñ pe bikhrā ye tabassum Dhaal hai merī

    ki jaane kab udāsī kahīñ ḳhanjar nikal aa.e

    gire haiñ jitne aañsū dāman-e-sahrā meñ sadiyoñ se

    sulagtī ret bhī andar se shāyad tar nikal aa.e

    kahin aankhen kahin bazu kahin se sar nikal aae

    andhera phailte hi har taraf se Dar nikal aae

    hue hain khokhle hum log hijrat mein so Darte hain

    KHala ye ruh ka aisa na ho bahar nikal aae

    ye lagta hai ki patton pe rakhi thin muntazir aankhen

    mere aate hi kitne phul shaKHon par nikal aae

    na jaane khol de kab koi lamha yaad ki gaThri

    kisi kone se mazi ka hasin manzar nikal aae

    mere honTon pe bikhra ye tabassum Dhaal hai meri

    ki jaane kab udasi ka kahin KHanjar nikal aae

    gire hain jitne aansu daman-e-sahra mein sadiyon se

    sulagti ret bhi andar se shayad tar nikal aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now