kahin aisa na ho daman jala lo
kahīñ aisā na ho dāman jalā lo
hamāre āñsuoñ par ḳhaak Daalo
manānā hī zarūrī hai to phir tum
hameñ sab se ḳhafā ho kar manā lo
bahut roī huī lagtī haiñ āñkheñ
mirī ḳhātir zarā kājal lagā lo
akele-pan se ḳhauf aatā hai mujh ko
kahāñ ho ai mire ḳhvābo ḳhayālo
bahut māyūs baiThā huuñ maiñ tum se
kabhī aa kar mujhe hairat meñ Daalo
kahin aisa na ho daman jala lo
hamare aansuon par KHak Dalo
manana hi zaruri hai to phir tum
hamein sab se KHafa ho kar mana lo
bahut roi hui lagti hain aankhen
meri KHatir zara kajal laga lo
akele-pan se KHauf aata hai mujh ko
kahan ho ai mere KHwabo KHayalo
bahut mayus baiTha hun main tum se
kabhi aa kar mujhe hairat mein Dalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.