kahin aisa na ho KHuda na kare
kahīñ aisā na ho ḳhudā na kare
mujh ko tujh se koī judā na kare
merī jannat tirī nigāh-e-karam
mujh se phir jaa.e ye ḳhudā na kare
bevafā.ī bhī ek nisbat hai
kyā gila us se gar vafā na kare
rāñda-e-mahfil-e-sanam zāhid
kyā kare gar ḳhudā ḳhudā na kare
us kī rahmat pe gar yaqīn hai 'aish'
hai ḳhatā gar koī ḳhatā na kare
kahin aisa na ho KHuda na kare
mujh ko tujh se koi juda na kare
meri jannat teri nigah-e-karam
mujh se phir jae ye KHuda na kare
bewafai bhi ek nisbat hai
kya gila us se gar wafa na kare
randa-e-mahfil-e-sanam zahid
kya kare gar KHuda KHuda na kare
us ki rahmat pe gar yaqin hai 'aish'
hai KHata gar koi KHata na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.