kahin andhere kahin raushni se Darte hue
kahīñ añdhere kahīñ raushnī se Darte hue
tamām-umr guzārī hai ham ne marte hue
uḌā ke le to ga.ī shāḳh se sabhī patte
havā ne dukh bhī na pūchhā mirā guzarte hue
kahīñ ye ḳhvāb sī tasvīr bol uTThī to
ḳhayāl aayā musavvir ko rañg bharte hue
use to bojh uThānā thā apnī hastī kā
vo muskurā na sakā aaj bhī sañvarte hue
ye zindagī kā bayābāñ agar ijāzat de
zarā sī dhuup uThā luuñ yahāñ Thaharte hue
kahin andhere kahin raushni se Darte hue
tamam-umr guzari hai hum ne marte hue
uDa ke le to gai shaKH se sabhi patte
hawa ne dukh bhi na puchha mera guzarte hue
kahin ye KHwab si taswir bol uTThi to
KHayal aaya musawwir ko rang bharte hue
use to bojh uThana tha apni hasti ka
wo muskura na saka aaj bhi sanwarte hue
ye zindagi ka bayaban agar ijazat de
zara si dhup uTha lun yahan Thaharte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.