kahin azab kahin par sawab likhte hain
kahīñ azaab kahīñ par savāb likhte haiñ
farishte roz hamārā hisāb likhte haiñ
bahut se log to aise bhī haiñ isī yug meñ
kitāb paḌhte nahīñ haiñ kitāb likhte haiñ
vo apne jism ke ḳhānoñ meñ aag rakhte haiñ
gulāb hote nahīñ haiñ gulāb likhte haiñ
yahāñ ke log to ta.abīr jānte hī nahīñ
ye apne niiñd meñ rahne ko ḳhvāb likhte haiñ
tumhāre zulm tumhāre sitam nahīñ likhte
ham apne aap kī qismat ḳharāb likhte haiñ
kahin azab kahin par sawab likhte hain
farishte roz hamara hisab likhte hain
bahut se log to aise bhi hain isi yug mein
kitab paDhte nahin hain kitab likhte hain
wo apne jism ke KHanon mein aag rakhte hain
gulab hote nahin hain gulab likhte hain
yahan ke log to tabir jaante hi nahin
ye apne nind mein rahne ko KHwab likhte hain
tumhaare zulm tumhaare sitam nahin likhte
hum apne aap ki qismat KHarab likhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.