kahin bahaar kahin Khaar-zar ki surat
kahīñ bahār kahīñ ḳhār-zār kī sūrat
jidhar bhī dekho vahī intizār kī sūrat
jise bhī dekho masā.il kī bhiiḌ meñ gum hai
har ik jabīñ hai kisī ishtihār kī sūrat
hatheliyoñ pe numāyāñ hai jabr kī tahrīr
isī ko kahte haiñ kyā iḳhtiyār kī sūrat
abhī to shām-o-sahar dil ke daaġh jalte haiñ
qabā-e-jāñ hai abhī taar taar kī sūrat
fareb-o-makr ke jalte sulagte jañgal meñ
jhulas ke masḳh huī e'tibār kī sūrat
hujūm-e-ġham meñ kisī ġham-gusār kī yādeñ
baneñ hamārī nigahbāñ hisār kī sūrat
mirā vajūd hī jab qaid se ibārat hai
nahīñ hai maut se pahle farār kī sūrat
badal ke dekheñ to 'sīmā' nizām hastī kā
kisī tarah se to nikle qarār kī sūrat
kahin bahaar kahin KHar-zar ki surat
jidhar bhi dekho wahi intizar ki surat
jise bhi dekho masail ki bhiD mein gum hai
har ek jabin hai kisi ishtihaar ki surat
hatheliyon pe numayan hai jabr ki tahrir
isi ko kahte hain kya iKHtiyar ki surat
abhi to sham-o-sahar dil ke dagh jalte hain
qaba-e-jaan hai abhi tar tar ki surat
fareb-o-makr ke jalte sulagte jangal mein
jhulas ke masKH hui e'tibar ki surat
hujum-e-gham mein kisi gham-gusar ki yaaden
banen hamari nigahban hisar ki surat
mera wajud hi jab qaid se ibarat hai
nahin hai maut se pahle farar ki surat
badal ke dekhen to 'sima' nizam hasti ka
kisi tarah se to nikle qarar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.