Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin bahaar kahin par KHizan ka mausam hai

Moid Rasheedi

kahin bahaar kahin par KHizan ka mausam hai

Moid Rasheedi

MORE BYMoid Rasheedi

    kahīñ bahār kahīñ par ḳhizāñ mausam hai

    tamām shahr meñ sūd-o-ziyāñ mausam hai

    na raas aa.egī ham ko abhī ye āb-o-havā

    jahāñ ke ham haiñ nazar meñ vahāñ mausam hai

    havā zid bhī vahī hai diye zid bhī vahī

    ajab hikāyat-e-shab-zād-gāñ mausam hai

    kaḌaktī bijliyāñ abr-e-siyāh bārish-e-sang

    zamīñ se kah do abhī āsmāñ mausam hai

    fazā meñ itr ḳhushbū ghulegī aur abhī

    abhī fasāna-e-dil-dād-gāñ mausam hai

    chhalak rahe haiñ sabhī dard mehrbāñ ho kar

    uThāo haath ki āzār-e-jāñ mausam hai

    ab is ke baad zamīñ rafta rafta hogī siyāh

    abhī hai surḳh ki ye kushtagāñ mausam hai

    yaqīn hai ki na.e barg-o-bār ā.eñge

    yaqīñ ke shahr meñ ab ke gumāñ mausam hai

    nigāh-e-shab meñ shab-e-raftagāñ guzār aa.e

    nigāh-e-sub.h meñ ā.indagāñ mausam hai

    kahin bahaar kahin par KHizan ka mausam hai

    tamam shahr mein sud-o-ziyan ka mausam hai

    na ras aaegi hum ko abhi ye aab-o-hawa

    jahan ke hum hain nazar mein wahan ka mausam hai

    hawa ki zid bhi wahi hai diye ki zid bhi wahi

    ajab hikayat-e-shab-zad-gan ka mausam hai

    kaDakti bijliyan abr-e-siyah barish-e-sang

    zamin se kah do abhi aasman ka mausam hai

    faza mein itr si KHushbu ghulegi aur abhi

    abhi fasana-e-dil-dad-gan ka mausam hai

    chhalak rahe hain sabhi dard mehrban ho kar

    uThao hath ki aazar-e-jaan ka mausam hai

    ab is ke baad zamin rafta rafta hogi siyah

    abhi hai surKH ki ye kushtagan ka mausam hai

    yaqin hai ki nae barg-o-bar aaenge

    yaqin ke shahr mein ab ke guman ka mausam hai

    nigah-e-shab mein shab-e-raftagan guzar aae

    nigah-e-subh mein aaindagan ka mausam hai

    Source :
    • Book : Ishq (Pg. 52)
    • Author :Moid Rasheedi
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now