kahin charcha hamara ho na jae
kahīñ charchā hamārā ho na jaa.e
mohabbat āshkāra ho na jaa.e
kahīñ us kā nazārā ho na jaa.e
ye dil qurbāñ hamārā ho na jaa.e
na dekho tirchhī nazroñ se ḳhudārā
mirā dil paarā paarā ho na jaa.e
na paḌ jaa.eñ jigar ke apne laale
kahīñ us kā ishārā ho na jaa.e
na dekho pyaar kī nazroñ se Dar hai
hamārā dil tumhārā ho na jaa.e
fidā dil zulf-e-shab-gūñ par tumhārī
kahīñ aafat kā maarā ho na jaa.e
tumheñ dil de to de 'tābāñ' ye Dar hai
hamesha ko tumhārā ho na jaa.e
kahin charcha hamara ho na jae
mohabbat aashkara ho na jae
kahin us ka nazara ho na jae
ye dil qurban hamara ho na jae
na dekho tirchhi nazron se KHudara
mera dil para para ho na jae
na paD jaen jigar ke apne lale
kahin us ka ishaara ho na jae
na dekho pyar ki nazron se Dar hai
hamara dil tumhaara ho na jae
fida dil zulf-e-shab-gun par tumhaari
kahin aafat ka mara ho na jae
tumhein dil de to de 'taban' ye Dar hai
hamesha ko tumhaara ho na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.