kahin gulab kahin sabz ghas rahne do
kahīñ gulāb kahīñ sabz ghaas rahne do
chaman ko mere zarā ḳhush-libās rahne do
maiñ ḳhār-o-ḳhas hī sahī kuchh to kaam ā.ūñgā
mujhe jalāo nahīñ ghar ke paas rahne do
ḳhushī milī hai tumhārī ye ḳhush-nasībī hai
udaas rahnā hai mujh ko udaas rahne do
kabhī tumhārī nazar mujh pe kyoñ nahīñ paḌtī
sunā hai tum ho sitāra-shanās rahne do
faqīr rakhte nahīñ zarq-barq poshākeñ
mire badan pe ye saada libās rahne do
zabān khologe jab bhī anā bhī jā.egī
karo na us se koī iltimās rahne do
hazār talḳh hai lahja kisī kā 'nasr' to kyā
zabāñ meñ apnī magar tum miThās rahne do
kahin gulab kahin sabz ghas rahne do
chaman ko mere zara KHush-libas rahne do
main KHar-o-KHas hi sahi kuchh to kaam aaunga
mujhe jalao nahin ghar ke pas rahne do
KHushi mili hai tumhaari ye KHush-nasibi hai
udas rahna hai mujh ko udas rahne do
kabhi tumhaari nazar mujh pe kyon nahin paDti
suna hai tum ho sitara-shanas rahne do
faqir rakhte nahin zarq-barq poshaken
mere badan pe ye sada libas rahne do
zaban khologe jab bhi ana bhi jaegi
karo na us se koi iltimas rahne do
hazar talKH hai lahja kisi ka 'nasr' to kya
zaban mein apni magar tum miThas rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.