kahin jata nahin ye dard-e-dil Thahra bhi rahta hai
kahīñ jaatā nahīñ ye dard-e-dil Thahrā bhī rahtā hai
purāne zaḳhm se rishta mirā gahrā bhī rahtā hai
vo sab kuchh jaan letā hai mirā chehrā hī paḌh paḌh kar
banā rahne do pahra koī gar pahra bhī rahtā hai
bahut saarī Tsunami haiñ mire dil kī tarah us meñ
mahaz dikhtā hai paanī jhiil kā Thahrā bhī rahtā hai
tarāzū se na tolo tum hamārī pyaas kā matlab
kabhī dariyā bhī rahtā hai kabhī sahrā bhī rahtā hai
hai kuchh jādū-bharī kursī siyāsat kī ki jo baiThā
kabhī andhā bhī rahtā hai kabhī bahra bhī rahtā hai
kahin jata nahin ye dard-e-dil Thahra bhi rahta hai
purane zaKHm se rishta mera gahra bhi rahta hai
wo sab kuchh jaan leta hai mera chehra hi paDh paDh kar
bana rahne do pahra koi gar pahra bhi rahta hai
bahut sari Tsunami hain mere dil ki tarah us mein
mahaz dikhta hai pani jhil ka Thahra bhi rahta hai
taraazu se na tolo tum hamari pyas ka matlab
kabhi dariya bhi rahta hai kabhi sahra bhi rahta hai
hai kuchh jadu-bhari kursi siyasat ki ki jo baiTha
kabhi andha bhi rahta hai kabhi bahra bhi rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.