kahin jaun talluq ka sitara chalta rahta hai
kahīñ jā.ūñ ta.alluq kā sitāra chaltā rahtā hai
mire hamrāh ye kis kā ishāra chaltā rahtā hai
basīrat kho ga.ī lekin tavaqqo.a hai bashārat kī
kisī ke naam kā ab bhī sahārā chaltā rahtā hai
ab ik qatra bhī dil kī jhiil meñ paanī nahīñ rahtā
magar kyā kījiye tab bhī shikārā chaltā rahtā hai
kahāñ tum ārzūoñ kī havelī DhūñDne nikle
yahāñ to be-panāhī meñ guzārā chaltā rahtā hai
ham apne dostoñ par naaz kuchh yūñhī nahīñ karte
ki zikr-e-ḳhair ho yā bad hamārā chaltā rahtā hai
kaleja hai to maidān-e-amal meñ aa kitābeñ likh
adab ke kaam meñ pyāre ḳhasāra chaltā rahtā hai
kabhī aao to dikhlā.eñ karishma tum ko dariyā kā
ki maujeñ munjamid haiñ aur kināra chaltā rahtā hai
kahin jaun talluq ka sitara chalta rahta hai
mere hamrah ye kis ka ishaara chalta rahta hai
basirat kho gai lekin tawaqqoa hai bashaarat ki
kisi ke nam ka ab bhi sahaara chalta rahta hai
ab ek qatra bhi dil ki jhil mein pani nahin rahta
magar kya kijiye tab bhi shikara chalta rahta hai
kahan tum aarzuon ki haweli DhunDne nikle
yahan to be-panahi mein guzara chalta rahta hai
hum apne doston par naz kuchh yunhi nahin karte
ki zikr-e-KHair ho ya bad hamara chalta rahta hai
kaleja hai to maidan-e-amal mein aa kitaben likh
adab ke kaam mein pyare KHasara chalta rahta hai
kabhi aao to dikhlaen karishma tum ko dariya ka
ki maujen munjamid hain aur kinara chalta rahta hai
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 23)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.