kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai
kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
kahīñ mohabbat ke āsmāñ par visāl kā chāñd Dhal rahā hai
charāġh ke saath tāqche meñ gulāb kā phuul jal rahā hai
bahut dinoñ se zamīn apne madār par bhī nahīñ hai lekin
abhī vahī shaam chhā rahī hai abhī vahī din nikal rahā hai
mujhe yaqīñ thā maiñ in sitāroñ ke saa.e meñ umr bhar chalūñgā
bahut hī āhistagī se lekin ye saarā manzar badal rahā hai
kabhī mohabbat se baaz rahne kā dhyān aa.e to sochtā huuñ
ye zahr itne dinoñ se mere vajūd meñ kaise pal rahā hai
kahīñ ravānī meñ baḌh rahe haiñ kahīñ sitāre ruke hue haiñ
ḳhabar nahīñ kā.enāt kā ye nizām kis tarah chal rahā hai
abhī gumāñ tak nahīñ hai 'sājid' use maiñ phir yaad bhī karūñgā
magar ye kyuuñ aa.ine se haT kar vo aks bhī haath mal rahā hai
kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai
charagh ke sath taqche mein gulab ka phul jal raha hai
bahut dinon se zamin apne madar par bhi nahin hai lekin
abhi wahi sham chha rahi hai abhi wahi din nikal raha hai
mujhe yaqin tha main in sitaron ke sae mein umr bhar chalunga
bahut hi aahistagi se lekin ye sara manzar badal raha hai
kabhi mohabbat se baz rahne ka dhyan aae to sochta hun
ye zahr itne dinon se mere wajud mein kaise pal raha hai
kahin rawani mein baDh rahe hain kahin sitare ruke hue hain
KHabar nahin kaenat ka ye nizam kis tarah chal raha hai
abhi guman tak nahin hai 'sajid' use main phir yaad bhi karunga
magar ye kyun aaine se haT kar wo aks bhi hath mal raha hai
- Book : meyaar (Pg. 382)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.